Kushada dast-e-karam jab woh be-niyaaz kare

Kushada dast-e-karam jab woh be-niyaaz kare
Niyaaz mand na kyun aajzi pe naaz kare

Bitha ke arsh pe rakha hai tu ne aye wa’ez
Khuda woh kya hai jo bandon se ihtiraaz kare

Meri nigah mein woh rind hi nahin saqi
Jo hoshiyari o masti mein imtiaz kare

Madam gosh ba dil reh yeh saaz hai aisa
Jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare

Madam gosh ba dil reh yeh saaz hai aisa
Jo ho shikasta to paida nawa-e-raaz kare

Koi yeh poochhe ke wa’ez ka kya bigarta hai
Jo be-amal pe bhi rehmat woh be-niyaaz kare

Misal-e-partav-e-me, toof-e-jaam karte hain

Misal-e-partav-e-me, toof-e-jaam karte hain
Yehin namaz ada subah-o-shaam karte hain

Khasoosiyat nahi kuch is mein ae Kaleem teri
Shajar hajar bhi Khuda se kalaam karte hain

Naya jahan koi ae shama dhoondiye ke yahan
Sitam kash tapish-e-na tamaam karte hain

Bhali hai hum-nafso is chaman mein khamoshi
Ke khushnawaon ko paaband-e-daam karte hain

Gharaz nishat hai shughul-e-sharaab se jin ki
Halaal cheez ko goya haraam karte hain

Bhala nibhegi teri hum se kyun kar ae wa’iz!
Ke hum to rasm-e-mohabbat ko aam karte hain

 

 

Shaoor o hosh o khirad ka maamla hai ajeeb

“Shaoor o hosh o khirad ka maamla hai ajeeb
Maqaam-e-shauq mein hain sab dil o nazar ke raqeeb”

“Main jaanta hoon jamaat ka hashr kya hoga
Masail-e-nazari mein ulajh gaya hai khateeb”

“Agarche mere nasheman ka kar raha hai tawaaf
Meri nawa mein nahi tair-e-chaman ka naseeb”

“Suna hai maine sukhan ras hai Turk-e-Usmaani
Sunaye kaun usay Iqbal ka yeh she’r ghareeb”

 

Yeh surood-e-qamri o bulbul fareb-e-gosh hai

Yeh surood-e-qamri o bulbul fareb-e-gosh hai
Baatin hungaama-abaad chaman khamosh hai

Tere peemanon ka hai yeh ae maay-e-maghrib asar
Khanda zan saqi hai, saari anjuman behosh hai

Dahr ke gham khanay mein tera pata milta nahi
Jurm tha kya afreenish bhi ke tu roposh hai

Jis ke dam se Dilli o Lahore hum pehlu hue
Aah, ae Iqbal woh bulbul bhi ab khamosh hai

 

Miṭā diyā mere sāqī ne ālam-e-man-o-tu

Miṭā diyā mere sāqī ne ālam-e-man-o-tu
Pilā ke mujh ko may lā ilāha illā Hū

Na may na shair na sāqī na shor-e-chang o rabāb
Sukūt-e-koh o lab-e-jo o lāla-e-khūd ro

Gadā-e-maykada kī shān-e-be-niyāzī dekh
Pahunch ke chashma-e-ḥaywān pe toṛtā hai sabū

Mainūn niyāz hoon, mujh se ḥijāb hī awlā
Ke dil se baṛh ke hai merī nigāh beqābū

Agarche bahr kī maujōn mein hai maqām us kā
Ṣafā-e-pākī-e-ṭīnat se hai guhar kā wuzū

Jamīl-tar hain gul o lāla faiz se is ke
Nigāh-e-shā’ir-e-rangīn nawā mein hai jādū

“Mile ga manzil-e-maqsood ka usi ko suraagh,

“Mile ga manzil-e-maqsood ka usi ko suraagh,
Andheri shab mein hai cheetay ki aankh jiska chiraagh.”

Mayassar aati hai fursat faqat ghulamon ko,
Nahi hai banda-e-hur ke liye jahaan mein faraagh.”

Farogh-e-Maghribiyan kheera kar raha hai tujhe,
Teri nazar ka nigehbaan ho saahib-e-‘mazaagh’.”

“Woh bazm-e-aish hai mehmaan yak nafas do nafas,
Chamak rahe hain misaal-e-sitaara jiske ayaagh.”

Yeh hooriyan-e-farangi dil-o-nazar ka hijaab

Yeh hooriyan-e-farangi dil-o-nazar ka hijaab
Bihisht-e-maghribiyan jalway haaye paa-b-rakaab

Dil-o-nazar ka safeena sambhal kar le jaa
Mah-o-sitara hain bahr-e-wujood mein girdaab

Jahaan-e-saut-o-sada mein sama nahin sakti
Lateefa-e-azli hai fighaan-e-chang-o-rabaab

Sikha diye hain usay shewa-haye khaanaqahi
Faqih-e-shehr ko soofi ne kar diya hai kharaab

Woh sajda rooh-e-zameen jis se kaanp jaati thi
Usi ko aaj taraste hain minbar-o-mehraab

Suni na Misr-o-Filasteen mein woh azaan main ne
Diya tha jis ne pahaadon ko ra’asha-e-seemaab

Tu aye aseer-e-makaan, la-makaan se door nahi

Tu aye aseer-e-makaan, la-makaan se door nahi
Woh jalwah-gaah tere khaakdaan se door nahi

Woh murghzaar ke beem-e-khizaan nahi jis mein
Ghamgeen na ho ke tere aashiyaan se door nahi

Yeh hai khulasa-e-ilm-e-qalandari ke hayaat
Khadang-e-justa hai lekin kamaan se door nahi

Faza teri meh o parween se hai zara aage
Qadam uthha yeh maqaam aasmaan se door nahi

Kahe na raahnuma se ke chhor de mujh ko
Yeh baat raahro nukta-daan se door nahi