Poetry on hairs-Spikes

Funny poetry on boy's spikes
Funny poetry on boy’s spikes

Poetry on Boys Spikes

Funny Poetry on Boys Spikes

Mai nay kaha doctor sahib aik kam kejeay

Dard-e-dil k mary phirty hain ja baja yahan

In dil kay maron ka kuch dawa daru kejeay

In dil k maron ko dedary husan krwa dejeay

Kaha doctor ny dhemay lehjy main humy

Chorain app itna taradud na kejeay

Bna k trha trha k spikes

Har gali k kony py khara hwa kejeay

Dekh k ik dojy ko dar na jain agr

Hazrat mujhy galy sy aa k pakra kejeay

Bigarar gye hain loday Noor Akhter ab kya kejeay

Dono hath uthaye ALLAH sy dua kejea

Urdu Funny Poetry on Students – Hum Student na hotay to..

Urdu Funny Poetry on Students

urdu Funny poetry on students
urdu Funny poetry on students

Hum Students na hotay to

Hum Student na hotay to rutbay main kuch or hotay 

Kisi khobsorat larki kay shohar e namdar or chotay chotay bachun k aba hotay

Bay nami ki zindagi guzar rahain hain hm subha sham 

student na hotay to jejah e namdar hotay

dukh hmara yhi to he koi sunta nahin hmari

baray bzurg kehtay hain parh lo zindagi sanwar jae gi tmhri 

 

Funny bakra eid poetry- Qurbani ka Bakra

Qurbani ka Bakra.

Eid-ul-Adha Ka moqa hay k khushi i hy

Par yaro hamary galay main par gaya ha naya phaa.

Jaib hai khali magar begum ki farmaish hay lao ik bakra nya.

Kyun kay purany bakray say wo tang aa gai hay.

Funny Barka Eid Poetry

Pehlay to wo sirf hitler ki behan thi magar ab liya ha ik roop naya.

Dekhti hay wo is tarha jaisay bakray ko dekhta ho qasai.

Paka deti hay wo is tarha jaisay chawal pakata ho naie.

Funny bakra eid poetry

Begum nay farmaya bakra lao sehat mand main nay sahelion ko dikhana hay.

Kar kay us ki qurbani phir main nay disco bhi jana hay.

Hum nay kaha  begum jaib hay karki bus is purany bakray say kam chalana hay

Farmaya begum nay gosht posht ka bakra lao in hadiyon ka main nay kaya pakana hay.

funny bakra eid poetry
funny bakra eid poetry

Parosiyon ko dekho khareda hay ik bakra  or ik bail bhi  lana hay.

Kaha hum nay begum dikhaway ka hay zamana laina hai ik hissa unhon nay bail to bas bahana hay.

Dekhti rahi Noor-e-Akhtar yeh manzar ajeeb or kaha aaya kya ajeeb zamana hay.

<

p style=”text-align: center;”>Qurbani to hay siraf khuda ki khatir is main dunya ko kya dikhana hai

TESERE MAKHLOOQ

                      تیسری مخلوق             

 Ik din sar-e-rah dekha ik jawan asa toba hai

Ik din sar-e-rah dekha ik jawan aesa toba hay
Choti choti ankhain dhalti sham sa rang toba hay 
Har guzrnay walay ko dekhta tha jo bus toba hay
Larki jo pass sy guzri to bjai citi unn bus toba hay 
Larki nay mur kar jo dekha us ko bus toba hay
Halki si bhengi ankh jo us ki rubai bus toba hay
Larki nay pas aa kr ghuma k lgaya jo usy thapr bus toba hay
Kha k thapar achanak unn pukara hae main mar gai bus toba hai

 

                                       

 

Shareef key shadi

 

            SHADI          

mangny ko bheek ik bhekarn aye shareef say
dekh husn us ka shareef  kafyay milanay lga radeef say
phlay pehal lalchai nazro say dekha or phir  frmaya us say
jan e man mangna ik lanat hay buri adat hay
dil ye chahta hay ye adat churaon tujh say
gda gari na kro phir is wastay shadi rachau  ga tujh say

bhla is main mera kya ho skta hay bs tere jawani ka khyal ata hay
ho jae kam dunya mai ik gdagar is janib dehan jata hay
koi kmi nai mujh mai bus ik chota sa cancer ka marz hay
khuda ka dia sub hay mere pas ik jahaz mera driver urata hay
kuda ny admiyat ka mansub mujhy dia, shareef ye mansub nibhata hay

 

 

kisi ki beti shadi say na rhay mehrom shareef shadi tujh sy rachata hay
ALLAH ka bra fazal hay nikah mai mere hain char biwiyan
ab panchwi biwi shareef tumhay bnata hay
phir kuch din guzray shareef phir ik bibi pr sahafati nazar durata hay
frma k us say wohi sub kuch us say b shadi rachata hay
bus shareef aesay hi kr kr k shadian bibion say
aye din shareef brh brh k naikian kmata hay
ye dua hai Noor-e-Akhtar ki khuda sy aesay shareefon k jhaz q urata hay
gira k arsh say farsh main khuda in mazlomon ki jan q nhin churwata hay