Aj phir lahu lahu hay wadi Kashmir ki Is pr nzar q nhi prti katib-a-taqdeer ki Gir rhi hain lashainn ik ik gohar-e-nayab ki Zulm ki dastan suna rhi hay maiyat ik ik shaheed ki Is pr nazar q nhin prti katib-e-taqdeer ki Aman k thakay daron ko lgani hai pabandi hr ik tahreek ki Kiya in ko nazar nhi atti halat abtar Kashmir ki Is par nazar q nhin prti katib-e-taqdeer kiPori Muslim ummah kun nhi bna leti kari mohabbat ki zanjir ki Day k int ka jawab pathar say shakal kun nhi bdlti dushman khanzir ki Is par nazar q nhi prti katib-e-taqdeer ki Khudaya kb hon gi khatam azmaishain is wadi-e-Benazir ki Kufr jma k qabza betha hay un jesay jageer ho is k bap ki Is pr nazar q nhi prti katib-e-taqdeer ki Kudaya bhaij k ababeelo ko tu nay hifazat ki kaba ki Kr day fatah-yab ye ummat Rasool (P.B.U.H) ki Kash nazar par jaye jald katib-e-taqdeer ki Ghum na khao kashmirio ik ho gi subah azadi-e- Kashmir ki Raegan nhi jaen gi un ki qurbanain kay abbyari ki jinho nay apnay khoon ki Is pr nazar q nhi prti katib-e-taqdeer kiKon pakray ga lagam is muzi modi bay lagam ki Kr rkha hay nak mai dum har ik aqliyat ki Is pr nazar q nhi prti katib-e-taqdeer kiYa Khuda hr lamha rehti hay dua zaban py noor-e-akhter ki
Magar afsoos hayat ka asal dars umr-e-akhir may parha hum nay
Shayad aina-e-wafa wafa key tasveer hi dekhata hay
Par bay-wafai ka sanp sab ko das jata ha ye dekha hum nay
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.
Ae gardish e aflaak zara thehar may kuch soch rahi hon
Badalta hai rang kiya nigar khana jahan ye dekh rahi hun
Yeh dunya ik hairat kada hai or may hairat zada hun
Kat raha gala kabhi madar ka sapoot say yeh dekh rahi hun
Dunya ki hirs o tamana ka yeh alam ha to akhrat kya ho gi
Lagwa raha ha boli yahan asmat ki pidar kya kya yeh dekh rahi hun
Kar raha ha kartab kiya kiya hazrat-e-insan kay shaitan bhi sharmae
kho kay ghairat apni hi maa jae ko lootay or lutwaey
Kash hazrat-e-insaan ko apni qadar maloom ho jae
Karta kitna payar Haq un say ae Noor-e-Akhtar yeh jaan kar
Sharam say mar na jae insaan yeh soch rahi hun…….
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.
Mera to sab mera rahy jo cheez tere ha wo bhy mere ho gae
Fikar to siraf aj ky ha kis nay socha kal kaya ho ga dhund kay us paar
Maar do cheen kay kha lo sab kuch
Kar lo bas ik dony dony do dony char
Kae salon par muheet ha wo aik din Noor-e-Akhtar
Kaya dey paein gay in chand salon ka hisab dhund kay us paar…
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.
Khushboo ki trha mehka karta tha wo meray angan main
Bahisht-e-Gulshan kay phoolun ka wo ab saaya ho ga
Shab bhar sitarun ko taka kartay hain diwana war
khuda janay wo ab konsi subha ka sitara hogya
Diya liye hathun main aas umeed ka ik muddat say
umeed e deedar main kharay hain ik zamana ho gya
Hogi sehar ik deedar ki Noor e Akhter
Hoti nahin sehar shab huay ik zamana ho gaya
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.
Zara dekh to kesa laho hay chasham may madar jae ki
Zara dekh to kesi lachari hay chasham may pidar ki
Aa aey zindagi tujhay tujh hi say maray dikhanay lay chalon
Kyukar hoe hawa ki beti besharm-o-by haya
Jis nay baich khai laja or sharm-o-haya
Kiasay bikti hai jannat wastay mal-o-mata
Aa aey zindagi tujhy wo bikti hoe jannat dikhanay lay chalon
Zindagi to kattay hain sab jannat ki aas may
Koi betha hai mal-o-mata ki aas may
Or kuch karty hain basar tera firat kinary ki payas may
Aa aey zindagi tujhy payas say janbalab chehray dikhanay lay chalon
Zindagi ki jannat ka yeh haal hay to aakhrat ki kaya ho gi
Bahisht to bhari ha lalach ki aas say
Khuda janay kay bahisht akhir kesi ho gi
Aa aey zindagi tujhy bahisht kay jaltay hoe pehlo dikhanay lay chalon
Tujy to haq nay tha bary maan say banaya
Isi khatir malaika say sajda tujhay karwaya
Kabhyi arsh par kabhi farsh par tujhay bulaya
Aina dikhanay ki khatir Noor-e-Akhtar zindagi ko tham hum nay bulaya
Aa aey zindagi tujhay wo aaloda aina dikhanay lay chalon
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.