Poetry on Cruel Rich People- ZMANY K AMEER

Poetry on Cruel Rich People- ZMANY K AMEER

Hae Zmanay ki shareef aey shareef aey

Koi khanda ae athay raj raj kay

Tey dhidwan nay char char hath agay wdhaey

 Hae Zmanay ki shareef aey shareef aey

Ghareeb Nimani dhi Jadh vi hath wdhae

Ameer Do panday Do kapray hath phraey

Tey soch g wich apni Khuda sastay chay man jaey

meri is neki wichun Khuda asmano Farishtay laey

 

 

 

Dil Poetry – Dil say utar gya woh- Romantic Poetry

Tha Ik Jan e Jigar kay dil ki sheh rag tk utar gya woh

Jhan tk bhta hay Khoon whin rag rag tk bs gya woh

Dil k ujray huay gulshan ko gul o gulzaar kr gya woh

Ruki hui, Sehmi hui, thehri hui sansoon ko jaanbar kr gya woh

Yka yuk Chali jo Gardish e Iflaaq jaanay khan thithar kr reh gya woh

Phir lot kr bhi meri zaat ko Khaakstar kr gya woh

 

Kashmir main Karbla

Karkhana e Qudrat na ruka hay na rukay ga kabhi

Qitar dr Qitar matti kay putlay guzar jaen gay sabhi

Yazeed e maloon hr dor main zinda rha mra nahin kabhi

shahzadian kashmir ki tar tar ho rhin hain tbhi

Zahoor e Karbla honay lga hay roz ba roz

Zahoor e sift e Hussain (R.A) kashmir main ho gi kabhi

Ab koi Zainab (RA) kiun nahin paida hoti khudaya

Bali Skinaain mar rhin hain sabhi

Kufr ki chapain lg rhin hain izzat e Islam pe shabana roz

thi daman betiun k dagh dhul paen ge kabhi

Noor Akhter manind e Kofi tamasha dekh rhay hain sabhi

Ba Qsam e Khudaya ta qayamat un k aansu na rukain gay kabhi

 

 

Hussain Poetry- Shah e Karbla


Kr Kay Fida nana k deen pr

Shah nay apna ghrana kiya tmam

Koi na rha nuqta brabar bhi aitraaz

Shah nay khoon say apnay hujjat  ki  tmam

Tha shah ka safar nokay naiza pr

Nangay sir Zainab(R.A) nay kiya sfar tmam

darbar e Yazeed me ruswa hua yazeed us dam

Bol dia sb Zainab (R.A) nay jo btaya tha khair ul Anaam

mun ko anay lga kaleja us dam bibi ka zindan main

Bali Sakeena (R.A) ki zindaan main huin jb sansain tmam

Dolnay lga takht us badkaar ka

Zainab (R.A) nay kia jb apna kalam tmam

kr kay qurban nanay Asghar ko

Shah nay Haq e Karbla ki hujjat ki tmam

Kaisay byan krun Qurabi e Hussain (R.A) ko Noor Akhter

Haq kay surkh gulabon nay kiya surkhi ka haq tmam

 

 

Wafa

wafa
wafa

Wafa

Wafa ka jwab hum dein wafa sy

Mumkinat mai asa to zaror ho skta hai

Pr tum wafa ky badly karo wafa hum sy

Asa hadsa kab mumkin ho skta hai

Chalti hwaon ke trha gungunain hum

Parindo ke trha chehchain hum

Asa to ho skta hai!

Pholon ke trha khud ko mehkao tum

Asa mojza kb ho skta hai

Nekian kr k dal do darya mai Noor Akhter

Wo dubaye na tumhy beech majhdar

Asa kb ho skta ha