Is se pehle ke be-wafa ho jayein

Is se pehle ke be-wafa ho jayein
Kyun na aye dost hum juda ho jayein

Tu bhi heere se ban gaya patthar
Hum bhi kal jaane kya se kya ho jayei

Tu ke yakta tha be-shumar hua
Hum bhi tootain to ja-baja ho jaye

Humhi majbooriyon ka uzr karein
Phir kahin aur mubtala ho jayein

Hum agar manzilein na ban paayein
Manzilon tak ka raasta ho jayein

Deer se soch mein hain parwaane
Raakh ho jayein ya hawa ho jayein

Ishq bhi khail hai naseebon ka
Khaak ho jayein, keemiya ho jayein

Ab ke agar tu mile to hum tujh se
Aise lipatain ke teri qaba ho jaay

Bandagi hum ne chhod di hai Faraaz
Kya karein log jab Khuda ho jayein

4o min

Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen

Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen
Jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein milen

Dhoondh ujre hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein mile

Tu Khuda hai na mera ishq farishte jaisa
Dono insaan hain to kyun itne hijabon mein milen

Aaj hum daar pe kheenchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko nasabon mein mile

Ab na woh main na woh tu hai na woh maazi hai Faraaz
Jaise do shakhs tamanna ke saraabon mein milen

Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa

Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jane ke liye aa

Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

 

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

Ek umr se hoon lazat-e-giryah se bhi mehroom
Aye raahat-e-jaan, mujh ko rulanay ke liye aa

Ab tak dil-e-khush fehm ko tujh se hain umeedein
Yeh aakhri shamain bhi bujhanay ke liye aa

 

4o

Suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shehar mein kuch din thehr ke dekhte hain

Suna hai rabt hai usko kharab haalon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz uski
So hum bhi uski gali se guzar ke dekhte hain

Suna hai usko bhi hai sher o shayari se shuguf
So hum bhi mojzay apne hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jhartay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat usay chaand takta rehta hai
Sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain

Suna hai din ko usay titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu thehr ke dekhte hain

 

Suna hai hashr hain uski ghazaal si aankhein
Suna hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain uski
Suna hai shaam ko saaye guzr ke dekhte hain

 

Suna hai uski siyah chashmagi qayamat hai
So usko surma farosh aah bhar ke dekhte hain

 

 

 

Suna hai uske labon se gulaab jalte hain
So hum bahaar pe ilzaam dher ke dekhte hain

 

Suna hai aaina tumsaal hai jabeen uski
Jo saada dil hain usay ban sanwar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamaail hain uski gardan mein
Mizaaj aur hi laal o gehhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkaan mein
Palang zawiye uski kamar ke dekhte hain

Suna hai uske badan ki taraash aisi hai
Ke phool apni qabayen katar ke dekhte hain

 

 

 

 

Woh serv-qad hai magar be-gul muraad nahi
Ke is shajar pe shagufe thamar ke dekhte hain

Bas ek nigah se litta hai qafila dil ka
So rahrovan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain

 

Suna hai uske shabistan se muttasil hai behisht

Makin idhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain

Ruke to gardishain uska tawaaf karti hain
Chalay to usko zamane thehr ke dekhte hain

Kisey naseeb ke be pairahan use dekhe
Kabhi kabhi dar o deewar ghar ke dekhte hain

Kahaniyan hi sahi, sab mubalagay hi sahi
Agar woh khwab hai, tabeer kar ke dekhte hain

Ab is ke shehar mein thehrain ke kooch kar jaayein
Faraaz, aao sitaare safar ke dekhte hain

 

 

 

 

Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir

Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir
Karte hain khitaab aakhir, uthte hain hijab aakhir

 

Ahwaal-e-muhabbat mein kuch farq nahi aisa
Soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir

Main tujh ko bataata hoon taqdeer-e-ummam kya hai
Shamsheer-o-sanaan awwal, taous-o-rabaab aakhir

May khanay-e-Yoarp ke dastoor nirale hain
Laate hain suroor awwal, dete hain sharaab aakhir

Kya dabdaba-e-Nadir, kya shaukat-e-Taimuri
Ho jaate hain sab daftar gharaq-e-may-e-naab aakhir

Khalwat ki ghari guzri, jalwat ki ghari aayi
Chhatne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aakhir

Tha zabt bohot mushkil is sil-e-maani ka
Keh daala qalandar ne asraar-e-kitaab aakhir

 

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hain

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hain
Yeh aashiq kaun si basti ke yarab rehne wale hain

Ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hoon
Jo thay chhalon mein kaantay, nok-e-sozan se nikaalay hain

Phula phoola rahay yarab chaman meri umeedon ka
Jigar ka khoon de de kar yeh bootey maine paalay hain

Na poochho mujh se lazzat khanman barbaad rehne ki
Nasheman sekron maine bana kar phoonk daalay hain

 

Nahi beganagi achi rafeeq-e-raah-e-manzil se
Thahar ja ae sharar, hum bhi to aakhir mitne wale hain

Umeed-e-hoor ne sab kuch sikha rakha hai waiz ko
Yeh hazrat dekhne mein seedhay saadey, bhoolay bhaale hain

ا

Mere ashaar ae Iqbal kyun pyaare na hoon mujh ko
Mere toote hue dil ke yeh dard-angez naale hain

 

 

شب قدر

‏اے ناداں تو نے شب قدر کی قدر کو کیا جانا
اس شب جہنم کے سب الاو بجھاے جائیں گے
جنتوں کے سبھی چراغ تو جلائیں جائیں گے
مومن قطار در قطار در بہشت کو جائیں گے
نور تو بھی مانگ جھولیاں بھر کے جائیں گے
داہنے ہاتھوں والے آج مرادیں سبھی پائیں گے
نور اختر۔