Aj kl ye gana zad-e-aam hai
Mujhy q nikala mujhy q nikala
Bhook sy bachy belak rhy hain
Bey ghar foot path py sesak rhy hain
Sardi mai gareeb thethar rhy hain
Is liay tujhy nikala is liay tujhy nikala
Gareeb maa beti ki shadi k khawab hai bunte
Badshah tere beti karoron ka ik har hain phnte
Lootny ko hr zainab ko drendge sary aam hai phirte
Phir kya sochta hai tujhy q nikala tujhy q nikala
Khuda kry wo din b jald aye
Badshah ki apne zainab b kory sy mil jaye
Wo b roye chekhy or chillaey
Phir usy pata chly usy q nikala usy q nikala
Shuba mujhy hai Noor-e-akhter k asy badshah
Jis din leny ko jan izraeel ayen gy
To badshah us sy b takrar mai lg na jaye
Mere rooh ko tu ne q nikala Mere rooh ko tu ne q nikala
Khuda aisy badshahon ko jald utha ly
Jinho ny hr zainab k qatil hain chun chum k smbhaly
Or riaya ki qismat bus khuda k hwaly
ALLAH inhy dunya sy jald nikaly (Ameen)
Aye badshah sun frman Umra-e-Farooq ka
Shayad k tujhy sharam aa jaye haya aa jaye
Khuda na bakhshay kbhe umar ko agr nadi kinary kbhe koi pyasa kuta b mar jaye
Aye badshah fardy isyan dahiney hath mai ly paye ga tu
Itne lute hwi betion ka hisab dy paye ga tu
Tujhy khofe khuda q nhi ata sharam sy tu mar q nhi jata
Khuda tujhy janat sy b nikaly
Dua krte hai ye Noor-e-Akhter hr dam
ALLAH bhaij koi Umra-e-Farooq jasa naib hum pr
Mola bus ik rahmat ki nazar kr
K ab ye mulk o qaum hai tere hwaly