Quote Of The Day
Quotes on Positivity
Achai ka jawab hmesha achai sy dyna chaheay lekin burai ka jawab burai sy deny mai koi aklmandi nhi kun k panhi hamesha aag ko bujhata hai aag pani ko nhi.
Quotes on Positivity
Achai ka jawab hmesha achai sy dyna chaheay lekin burai ka jawab burai sy deny mai koi aklmandi nhi kun k panhi hamesha aag ko bujhata hai aag pani ko nhi.
Success Quotes
Manzil pr ponchny k liay bhagna zarori nhi hota chalty rehna zarori hai kun k kabhi kabhi bhagny sy insan mun k bal gir jata hai or rasty ke dhool sub kuch dhudla sa kr deti hai or insan manzil pr nhi pohanch pata magr chalty rehny sy insan zra dair sy he sahi magr apni manzil pr zaror pohanch jata hai.
Quotes And Sayings In Urdu
waqat ka kya hai waqat kaisa bhe ho guzar he jata hai kabhi kabhi insan ko badlna prta hai logon k badalty hway mizaj k sath
Naya sal ab k jo aye ga
Totay howoan ke aas bndha jaye ga
Zilm ke zanjeron ko zaror tore jaye ga
Umeedain roshan hain bhooka nhi koi reh paye ga
Taqat k nashay mai choor insaniat sy koson door
Meta k khud ko un jarain kaat jaye ga
lagai hai aas Noor Akhter ny bhe
Kashmir ke azadi k diay zaror jalaye ga
Mai nay kaha doctor sahib aik kam kejeay
Dard-e-dil k mary phirty hain ja baja yahan
In dil kay maron ka kuch dawa daru kejeay
In dil k maron ko dedary husan krwa dejeay
Kaha doctor ny dhemay lehjy main humy
Chorain app itna taradud na kejeay
Bna k trha trha k spikes
Har gali k kony py khara hwa kejeay
Dekh k ik dojy ko dar na jain agr
Hazrat mujhy galy sy aa k pakra kejeay
Bigarar gye hain loday Noor Akhter ab kya kejeay
Dono hath uthaye ALLAH sy dua kejea
bayhayai o baywafai ke hadood ko par kr gya wo
jaty jaty mere baykasi o beredai amm kr gya wo
bethy thy us ke mohabbat mai kenarakash ho kr sub sy
dey k dagha humein dagabazon ko pechy kr gya wo
Suno aye zalimo tum zulm ko q bra btaty ho
Ly k kashmirion ka lahu but kado mai diay jlaty ho
Insaniat ka ye kon sa dastoor hai aql tum sy koson door hai
Subha bn k insaniat ky thekydar sham ko kashmirion ka lahu bhaty ho
Utho aye musalmano thori sharam karo tumhare gairat kahan soi hai
Ghair Muslim kr rhy hain kashmirion ka qatl-e-amm tum kis trha muslim khud ko btaty ho
Suno aye zalimo sitamgaro ik din ho jao gy nabood tum
Ubhrain gy falaq ka sitara bn k ak din tum jitna in kashmirion ko dbaty h
Sainkron khawab khwahishon k
Ankhon ky smandr main bha kr chaly
Arzu chalny ke the jin k sath
Rooh bojhal man bhari ankhein trbtar
Noor Akhter hum to har din is smandar main doobty chal
Dastor-e-syasat
Dastor-e-zamana hmari smjh sy bala tr ho gya
Muflis haqeer sy zaleel or ameer alla sy bala tr ho gya
bdl gai qadr o manzilat insan ki ik zamana ho gya
mama kehlany wala ab mamo bnany wala ho gya
do paheyon py ghoomny walo ka kya fasano ho gya
tarq e zameer ki barqat sy wo wazeer-e-khazana ho gya