Parda chehre se utha, anjuman aarai kar

Parda chehre se utha, anjuman aarai kar
Chashm e mehr o meh o anjum ko tamashaai kar

Tu jo bijli hai to yeh chashmak-e-penhan kab tak
Be-hijabana mere dil se shanasai kar

Nafas-e-garm ki taseer hai aijaaz-e-hayaat
Tere seene mein agar hai to Maseehai kar

Kab talak Toor pe dariwaza-garmi misl-e-Kaleem
Apni hasti se ayaan shola-e-Seenaai kar

Ho teri khaak ke har zarray se taameer-e-haram
Dil ko begaana andaz-e-kaleesaai kar

Is gulistaan mein nahiin had se guzarna achha
Naaz bhi kar to ba-andaaz-e-ra’naai kar

Pehle khuddar to maanind-e-Sikandar ho le
Phir jahaan mein hawas-e-shaukat-e-daaraai kar

Mil hi jaayegi kabhi manzil-e-Laila Iqbal!
Koi din aur abhi baadiya-pemai kar

 

Har ek maqam se aage guzar gaya meh-e-nau

Har ek maqam se aage guzar gaya meh-e-nau
Kamaal kis ko mayassar hua hai be tag-o-do

Nafs ke zor se woh ghuncha wa hua bhi to kya
Jise naseeb nahin aftaab ka partao

Nigaah paak hai teri to paak hai dil bhi
Ke dil ko Haq ne kiya hai nigaah ka pairo

Panap saka na khayaabaan mein laala-e-dil soz
Ke saazgaar nahin yeh jahaan-e-gandum-o-jo

Rahe na Aibak o Ghori ke maarke baaqi
Hamesha taaza o sheereen hai naghma-e-Khusro

 

 

“ne mohra baqi ne mohra baazi

“ne mohra baqi ne mohra baazi
jeeta hai roomi haara hai raazi”

 

“roshan hai jaam e jamshaid ab tak
shahi nahin hai be shisha baazi”

 

 

“dil hai musalmaan mera na tera
tu bhi namaazi main bhi namaazi”

 

 

“main jaanta hoon anjaam uska
jis ma’rake mein mila hoon ghaazi”

 

 

turki bhi sheereen, taazi bhi sheereen
harf-e-mohabbat turki na taazi”

 

 

Ameen raaz hai mardan-e-hur ki darveshi

“Ameen raaz hai mardan-e-hur ki darveshi
Ke Jibraeel se hai is ko nisbat-e-khweshi”

“Kise khabar ke safeene dobo chuki kitne
Faqeeh o soofi o shaa’ir ki na khush andeshi”

“Nigaah garam ke sheron ke jis se hosh ud jaayein
Na aah-e-sard ke hai goosfandi o meshi”

 

Tabib-e-ishq ne dekha mujhe to farmaaya
Tera marz hai faqat aarzoo ki be-nayshi”

“Woh shai kuch aur hai kehte hain jaan-e-paak jise
Yeh rang-o-nam yeh lahoo aab-o-naan ki hai beshi”

 

Fitrath ne na bakhsha mujhe andesha-e-chalaak

Fitrath ne na bakhsha mujhe andesha-e-chalaak
Rakhhti hai magar taqat parwaaz meri khaak

Woh khaak ke hai jis ka junoon siqal idraak
Woh khaak ke Jibreel ki hai jis se qaba chaak

 

 

Is khaak ko Allah ne bakhshe hain woh aansu
Karti hai chamak jin ki sitaron ko arq-naak

Woh khaak ke parwaaz-e-nasheman nahin rakhti
Chinti nahin pehnaaye chaman se khash-o-khashak

 

 

“Har cheez hai mehwo khud-numaayi

“Har cheez hai mehwo khud-numaayi
Har zarra shaheed-e-kibriaayi”

“Bay-zauq-e-numood zindagi maut
Tameer-e-khudi mein hai khudayi”

“Rai zor-e-khudi se parbat
Parbat zu’f-e-khudi se rai”

“Taaray awaara o kam aamez
Taqdeer-e-wujood hai judayi”

“”Yeh pichlay pehar ka zard ro chaand
Be raaz o niyaz aashnai”

“Teri qandeel hai tera dil
Tu aap hai apni roshnai”

 

 

Dil bedaar Farooqi, dil bedaar karaari

Dil bedaar Farooqi, dil bedaar karaari
Mas Adam ke haq mein kimiya hai dil ki bedaari

Dil bedaar paida kar ke dil khwabida hai jab tak
Na teri zarb hai kaari, na meri zarb hai kaari

Mishaam teez se milta hai sahra mein nishaan iska
Zan o takhmin se haath aata nahin aahuye Taatari

Is andeshe se zabt aah main karta rahun kab tak
Ke magh zaade na le jaain teri qismat ki changaari
Khudawanda, yeh tere saade dil bande kidhar jaain
Ke darveshi bhi aiyaari hai sultani bhi aiyaari
Tu ae Maula-e-Yathrib, aap meri chaara saazi kar
Meri danish hai afranghi, mera imaan hai zanari

Jab yaar ne rakht-e-safar baandha, kab zabt ka paara us din tha

Jab yaar ne rakht-e-safar baandha, kab zabt ka paara us din tha
Har dard ne dil ko sehlaaya, kya haal humara us din tha

Jab khwaab huein us ki aankhein, jab dhund hua us ka chehra
Har ashk sitaara us shab tha, har zakhm angaara us din tha

Sab yaaron ke hote soote hum, kis se galay mil kar rote
Kab galiyan apni galiyan thin, kab sheher hamara us din tha

Jab tujh se zara ghaafil thehre, har yaad ne dil par dastak di
Jab lab pe tumhara naam na tha, har dukh ne pukara, us din tha

Ek tum hi Faraz na the tanha, ab ke to bila wajeb aayi
Ek bheed lagi thi maqtal mein, har dard ka maara us din tha

 

4o mini

Karu na yaad magar kis tarah bhulaoon usay

Karu na yaad magar kis tarah bhulaoon usay
Ghazal bahaana karoon aur gungunaoon usay

Woh khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
Main zakhm zakhm hoon phir bhi galay lagaoon usay

Yeh log tazkare karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, ab kahan se laoon usay

Magar woh zood faramosh, zood ranj bhi hai
Ke rooth jaye agar yaad kuch dilaoon usay

Wohi jo daulat-e-dil hai, wohi jo raahat-e-jaan
Tumhari baat pe ae nasihon, ganuaoon usay

Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai Faraz
Ajab nahi hai agar yaad bhi na aaon usay

Hazaar khauf ho lekin zuban ho dil ki raafiq”

“Hazaar khauf ho lekin zuban ho dil ki raafiq Yahi raha hai azal se qalandaron ka tareeq”

“Hujum kyun hai zyada sharab khane mein Faqat yeh baat ke peer-e-maghan hai mard-e-khaleeq”

“Ilaaj-e-zauf-e-yaqeen in se ho nahi sakta Ghareeb agarche hain Raazi ke nuktaaye daqiq”

Mureed saada to ro ro ke ho gaya taib Khuda kare ke mile sheikh ko bhi yeh tawfeeq

“Isi talism-e-kuhn mein aseer hai Aadam Baghal mein iski hain ab tak butaan-e-ahd-e-ateeq”

“Mere liye to hai iqraar ba-alsaan bhi bahut Hazaar shukr ke mila hain sahib-e-tasdiq”

“Agar ho ishq to hai kufr bhi musalmani Nah ho to mard-e-muslim bhi kafir o zindiq”