Khudaya chmaktay soraj ki dopehar shal kiun nai jati
jhail chukay zindagi ko bohat ye musibat ab tal kiun nahi jati
Sainkron khawab khwahishon k
Ankhon ky smandr main bha kr chaly
Arzu chalny ke the jin k sath
Rooh bojhal man bhari ankhein trbtar
Noor Akhter hum to har din is smandar main doobty chal
مزدور
Rahain jo hamwar kartay hain dor o nazdeek kay lye
bas ik nazar e inayat chahye har mazdoor k lye
thakan say choor choor pasenay main shraboor ik ujrat k lye
ulfat kay meethay do bol chahye mazdoor kay lye
wesay to kainaat ki har cheeze mazdoor hay apni apni anjaam dahi kay lye
<
p style=”text-align: center;”>kar rahi hay mazdoori apni apni ujrat kay lye
Aj phir lahu lahu hay wadi Kashmir ki
Is pr nzar q nhi prti katib-a-taqdeer ki
Gir rhi hain lashainn ik ik gohar-e-nayab ki
Zulm ki dastan suna rhi hay maiyat ik ik shaheed ki
Is pr nazar q nhin prti katib-e-taqdeer ki
Aman k thakay daron ko lgani hai pabandi hr ik tahreek ki
Kiya in ko nazar nhi atti halat abtar Kashmir ki
Is par nazar q nhin prti katib-e-taqdeer kiPori Muslim ummah kun nhi bna leti kari mohabbat ki zanjir ki
Day k int ka jawab pathar say shakal kun nhi bdlti dushman khanzir ki
Is par nazar q nhi prti katib-e-taqdeer ki
Khudaya kb hon gi khatam azmaishain is wadi-e-Benazir ki
Kufr jma k qabza betha hay un jesay jageer ho is k bap ki
Is pr nazar q nhi prti katib-e-taqdeer ki
Kudaya bhaij k ababeelo ko tu nay hifazat ki kaba ki
Kr day fatah-yab ye ummat Rasool (P.B.U.H) ki
Kash nazar par jaye jald katib-e-taqdeer ki
Ghum na khao kashmirio ik ho gi subah azadi-e- Kashmir ki
Raegan nhi jaen gi un ki qurbanain kay abbyari ki jinho nay apnay khoon ki
Is pr nazar q nhi prti katib-e-taqdeer kiKon pakray ga lagam is muzi modi bay lagam ki
Kr rkha hay nak mai dum har ik aqliyat ki
Is pr nazar q nhi prti katib-e-taqdeer kiYa Khuda hr lamha rehti hay dua zaban py noor-e-akhter ki
khak main sab ko jis nay tazleel ki kashmir ki
khudaya ab to Bdal day halat Kashmir ki
Kabhi hum bhi chahtay thay sab ko
Par kisi nay na daikha rahon main kharay hum ko
Shoq say dunya kay ilm-o-fanoon sekhay hum nay
Magar afsoos hayat ka asal dars umr-e-akhir may parha hum nay
Shayad aina-e-wafa wafa key tasveer hi dekhata hay
Par bay-wafai ka sanp sab ko das jata ha ye dekha hum nay
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.
Kaya Kaya haseen soorty thein
Kay dil har waqt tha dekhnay ko beqarar
Chaly jo ajal key garam hawa Noor-e-Akhtar
Wo sab soortain kho gaein dhund kay us paar
Zamany key ajab rawishein ho gaein
Wafa to wafa kay daman may hey so gae
Mera to sab mera rahy jo cheez tere ha wo bhy mere ho gae
Fikar to siraf aj ky ha kis nay socha kal kaya ho ga dhund kay us paar
Maar do cheen kay kha lo sab kuch
Kar lo bas ik dony dony do dony char
Kae salon par muheet ha wo aik din Noor-e-Akhtar
Kaya dey paein gay in chand salon ka hisab dhund kay us paar…
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.
Aey zindagi main tujhay ghar lay chalon
kiss qadar badaltay hain dhang tairay
Tujhay dikhanay lay chalon
Dekh to chaman main kese veerani hay
Har chehray pay ajeeb herani hay
koi chalta hay chal nadani say
Koi badalta hay tevar makari say
Aa tujhay tera chalan dikhanay lay chalon
Aa dekh to kesi uri he khak dukhtar ki
Aa dekh to kaisay tapki hay aankh madar ki
Zara dekh to kesa laho hay chasham may madar jae ki
Zara dekh to kesi lachari hay chasham may pidar ki
Aa aey zindagi tujhay tujh hi say maray dikhanay lay chalon
Kyukar hoe hawa ki beti besharm-o-by haya
Jis nay baich khai laja or sharm-o-haya
Kiasay bikti hai jannat wastay mal-o-mata
Aa aey zindagi tujhy wo bikti hoe jannat dikhanay lay chalon
Zindagi to kattay hain sab jannat ki aas may
Koi betha hai mal-o-mata ki aas may
Or kuch karty hain basar tera firat kinary ki payas may
Aa aey zindagi tujhy payas say janbalab chehray dikhanay lay chalon
Zindagi ki jannat ka yeh haal hay to aakhrat ki kaya ho gi
Bahisht to bhari ha lalach ki aas say
Khuda janay kay bahisht akhir kesi ho gi
Aa aey zindagi tujhy bahisht kay jaltay hoe pehlo dikhanay lay chalon
Tujy to haq nay tha bary maan say banaya
Isi khatir malaika say sajda tujhay karwaya
Kabhyi arsh par kabhi farsh par tujhay bulaya
Aina dikhanay ki khatir Noor-e-Akhtar zindagi ko tham hum nay bulaya
Aa aey zindagi tujhay wo aaloda aina dikhanay lay chalon
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.