Ilahi kho gaya hay lal mera
main isay kahan talash karun
kabhi wo hansta huwa gulab tha
ab hay matti ka dhair wahan
hae koi to btae mujhay
us bukhray huway gulab ki patian kahan talash karon
Muhabbat kabhi thi muhabbat ab to tijarat hoti hay
Day kay hawas ko muhabbat ka naam yay tijarat khulay aam hoti hay
shayad muhabbat kay nam ko jana nahin hum nay
Iski paki or taqadus ko pehchana nahin hum nay
Neki asal-e-hayat ha Nabi (S.A.W) ka pegham yeh batata hay
Karo jis say neki us kay shar say bacho Hazrat Ali (R.A) kay qoul say jana hum nay
Karo neki or darya may daal do yeh bazargon say seekha hum nay
Phir aksar neki karnay walon ko darya burd hotay bhi daikha hum nay
Yehy sooch kar guzar jati hain shab-o-roz Noor-e-Akhtar
<
p style=”text-align: center;”> Kay ghor andheray may phir umeed ka ik diya zaroor jalata hay
Hum Student na hotay to rutbay main kuch or hotay
Kisi khobsorat larki kay shohar e namdar or chotay chotay bachun k aba hotay
Bay nami ki zindagi guzar rahain hain hm subha sham
student na hotay to jejah e namdar hotay
dukh hmara yhi to he koi sunta nahin hmari
baray bzurg kehtay hain parh lo zindagi sanwar jae gi tmhri
Khushiyon ka gehwara, Noor ka meenara marhaba sud marhaba Ramzan aa gya
Momino ki jaan, gunah garun ki bakhshish ka saman aa gya hay
Bharosa nahin sansun ka phir aen na aen
bhar lo naikiun se daman Ramzan aa gya hay
kitny bad bakht hain wo log soorat sy mohnay waly
ghor krein jo un ke shaksiyat pr to andr sy hain kaly
dil ka aina saf ho to ye manind khuda ka ghar hai
ye khoobsurat qol keh gye hain ALLAH waly
Husn ki tareef shayari in Urdu by Noor-e-Akhter! please read and appreciate. Thanks.