Pooch us se ke maqbul hai fitrat ki gawahi
To sahib-e manzil hai ya bhatka hua raahi.
Kāfir hai musalman to na shāhī na faqīrī
Momin hai to karta hai faqīrī mein bhi shāhī.
Pooch us se ke maqbul hai fitrat ki gawahi
To sahib-e manzil hai ya bhatka hua raahi.
Kāfir hai musalman to na shāhī na faqīrī
Momin hai to karta hai faqīrī mein bhi shāhī.
Teri mataa-e-hayat, ilm o hunar ka suroor
Meri mataa-e-hayat ek dil naasboor!
Ek zamaane se hai chaak-e-girebaan mera
Tu hai abhi hosh mein, mere junoon ka qasoor
Maslahatān keh diya maine Musalman tujhe
Tere nafs mein nahin, garmi-e-Yawm al-Nashoor
Mataa-e-be baha hai dard o sooz aarzoo mandi
Maqaam-e-bandagi de kar na loon shaan-e-khudawandi
Tere aazaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
Yahan marne ki pabandi wahan jeene ki pabandi
Hijab ikseer hai aawara-e-koye mohabbat ko
Meri aatish ko bhadkati hai teri deer paewandi
Guzar auqaat kar leta hai yeh koh o beyaabaan mein
Ke shaheen ke liye zillat hai kaar-e-ashyaan bandi
Yeh faizaan-e-nazar tha ya ke maktab ki karamath thi
Sikhaye kisne Ismail ko aadaab-e-farzandi
Ziyarat-gah-e-ahle azm o himmat hai lahad meri
Ke khaak-e-rah ko maine bataya raaz-e-alwandi
Meri mushatagi ki kya zaroorat husn-e-ma’ni ko
Ke fitrat khud bakhud karti hai laale ki hina bandi
“Khudi ho ilm se mohkam to ghairat Jibreel Agar ho ishq se mohkam to soor Israfeel”
“Azab-e-danish-e-haazir se ba khabar hoon main Ke main is aag mein daala gaya hoon misal-e-Khaleel”
“Faraib khorida-e-manzil hai karwan warna Zyada rahat-e-manzil se hai nasht-e-raheel”
Nazar nahi to mere halqa-e-sukhan mein na baith Ke nuktaaye khudi hain misaal tegh-e-aseel”
“Mujhe woh dars-e-Farang aaj yaad aate hain Kahan huzoor ki lazat, kahan hijab-e-daleel”
“Andheri shab hai juda apne qaflay se hai tu Tere liye hai mera sho’la-e-nawa qandeel”
“Fitrat ko khird ke rubaru kar Takhzeer maqam rang o boo kar”
“Tu apni khudi ko kho chuka hai Khoi hui shay ki justuju kar”
Taaron ki fiza hai bekarana Tu bhi yeh maqam aarzu kar”
Aryan hain tere chaman ki hoorain Chaak-e-gul o laala ko rafu kar”
Bezauq nahi agarche fitrat Jo is se nah ho saka woh to kar”