Eid Mubarak.

ؑEid Mubarak

Eid ai hay Eid ai ha Mubarak ho.

Kash Eid ka martaba jannay ki bhi saadat ho.

Khuda karay har ankh thandi or dil masroor ho.

Har nangay kay tan par kapra or bhookay ko khana naseeb ho.

Suno momino NABI(S.A.W) nay pocha tha ik yateem say.

Karo jo pasand jo NABI(S.A.W) tere baap or AYESHA(R.A) teri maa ho.

Kash aisi Eid manana har aik ko naseeb ho.

Phir har momin aik dosray kay kareeb ho.

Ya Ilahi hukmaran kar day atta aisay kay riaya ko sakoon dain.

Maal lotnya riaya ka haq marnay ka na janoon ho.

Dua karo Noor-e-Akhtar shab-o-roz.

Shab Lailatulqadar ho to har din Eid ho.


 

Alwida Mah-e-Ramzan ( Ramadan)

Alwida Mah-e-Ramadan

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

Tere amad say roshan hoa tha kon-o-makan

Bazm-o-iftar ki mehfilain sajin thin ja baja.

Ab ja raha hay to suna hay yeh jahan.

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

alwida mah e ramzan

Ta qayamat rahay ga tera ana jana.

Faiz pata rhay ga sara zamana.

Kiya bharosa sansoon ki lri ka.

Aglay baras kahan ho ga mera thikana.

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

juma tul wida

Mah-e-Ramzan ik karam mujh par farmana.

Hashar kay din mujh ko bakshwana.

Dena gawahi yeh mera tha dewana.

Baksh do is ko jannat ka khazana.

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

ramzan poetry

Aansoun key jhari lag gae ha.

Ah Noor-e-Akhtar dil pay gham ka ghalba chaya hua ha.

Mah-e-Ramzan ab rukhsat ko aya hua ha….

 


     

<

p style=”text-align: center;”> 

Bhadur Sapoot

Bhadur SapootPakistan k bhadur SapootUtho Sathiyo agay barhtay chalo

Sabq admiyat ka parhtay parhatay chalo

aen gat rastay main kai raw* or dushmanan e watan

inhain paun ki thokar say giratay mitatay chalo

Alm e Muhammad (SAW) hay jis kay hathun main un ko koi mitae ga kiya 

shamshir e Haidri say dushman ki gardanain uratay chalo

Utho sathiyo yay kehti hay Noor Akhter 

Dushman ki safon ko Arz e Pak say nabood kartay chalo

 

 

Ramzan Shayari- Marhaba Ramzan

رمضان

ramzan shayari

RAMADAN

 

Khushiyon ka gehwara, Noor ka meenara marhaba sud marhaba Ramzan aa gya

Momino ki jaan, gunah garun ki bakhshish ka saman aa gya hay

Bharosa nahin sansun ka phir aen na aen 

bhar lo naikiun se daman Ramzan aa gya hay

 

 

Ramzan Shayari in Urdu- Ramzan Chand Mubarak

Ramzan Chand Mubarak

Marhaba Marhaba Amad e Ramzan

Agya Agya Mah e Ramzan

 

Jan hay ye momino ki onchi hay iski shan

barktun ka mahina hay ye nazil hua ismay Quran

Gunahun say bakhshish ka wasela hay ye mah e sayam

Gunahun say toba ka waseela hay ye or Islam ki hay Shan

Farishtay utartay hay Zameen par le kr lay kar naimatain tmam

Bakhshish ka waseela hay ye mah e Ramzan

Momino nay shukr kiya aur kmai naikiyan aali shaan

kar kay naik amal akhrat may rutba paya aali shaan

teen chamaktay sitaray hain teray ae mah e Sayam

Ashra e Rehmat, Barkat aur dozakh say nijaat

Nawaznay ka behtreen moqa hay Noor e Akhter 

Jabhi to khuda nay nawazi is main bakhsish tamam

       

 

<

p style=”text-align: center;”> 

Mujhe Kyun Nikala Funny Poetry by Noor e Akhter

       

Aj kl ye gana zad-e-aam hai
Mujhy q nikala mujhy q nikala
Bhook sy bachy belak rhy hain
Bey ghar foot path py sesak rhy hain
Sardi mai gareeb thethar rhy hain
Is liay tujhy nikala is liay tujhy nikala

 

Gareeb maa beti ki shadi k khawab hai bunte
Badshah tere beti karoron ka ik har hain phnte
Lootny ko hr zainab ko drendge sary aam hai phirte
Phir kya sochta hai tujhy q nikala tujhy q nikala
Khuda kry wo din b jald aye
Badshah ki apne zainab b kory sy mil jaye
Wo b roye chekhy or chillaey
Phir usy pata chly usy q nikala usy q nikala
Shuba mujhy hai Noor-e-akhter k asy badshah
Jis din leny ko jan izraeel ayen gy
To badshah us sy b takrar mai lg na jaye
Mere rooh ko tu ne q nikala Mere rooh ko tu ne q nikala

Khuda aisy badshahon ko jald utha ly
Jinho ny hr zainab k qatil hain chun chum k smbhaly
Or riaya ki qismat bus khuda k hwaly
ALLAH inhy dunya sy jald nikaly (Ameen)
Aye badshah sun frman Umra-e-Farooq ka
Shayad k tujhy sharam aa jaye haya aa jaye
Khuda na bakhshay kbhe umar ko agr nadi kinary kbhe koi pyasa kuta b mar jaye
Aye badshah fardy isyan dahiney hath mai ly paye ga tu
Itne lute hwi betion ka hisab dy paye ga tu

 

Tujhy khofe khuda q nhi ata sharam sy tu mar q nhi jata
Khuda tujhy janat sy b nikaly
Dua krte hai ye Noor-e-Akhter hr dam
ALLAH bhaij koi Umra-e-Farooq jasa naib hum pr
Mola bus ik rahmat ki nazar kr
K ab ye mulk o qaum hai tere hwaly           

 

 

Husn Ki Tareef Shayari in Urdu by Noor e Akhter

Husn Ki tareef Shayari in Urdu, Husn shayari in urdu, 4 line Urdu Shayari

Husn Ki tareef Shayari in Urdu

kitny bad bakht hain wo log soorat sy mohnay waly 

ghor krein jo un ke shaksiyat pr to andr sy hain kaly

dil ka aina saf ho to ye manind khuda ka ghar hai 

ye khoobsurat qol keh gye hain ALLAH waly

Husn ki tareef shayari in Urdu by Noor-e-Akhter! please read and appreciate. Thanks.

Labour Day Poetry in Urdu by Noor e Akhter

 

Labour Day Poetry

         مزدور

Labour Day Poetry in Urdu by Noor e Akhter. Kindly read share and appreciate.

Rahain jo hamwar kartay hain dor o nazdeek kay lye

bas ik nazar e inayat chahye har mazdoor k lye

thakan say choor choor pasenay main shraboor ik ujrat k lye

ulfat kay meethay do bol chahye mazdoor kay lye

wesay to kainaat ki har cheeze mazdoor hay apni apni anjaam dahi kay lye

<

p style=”text-align: center;”>kar rahi hay mazdoori apni apni ujrat kay lye