Allah Allah kya dunya bsai Hussain ny Deen o akhrat ki Janat dekhai Hussain ny
Deen ki khatir qunbah zibah krwaya Hussain ny Nahi milti misal aesi, tarekh raqam ki apny khoon sy Hussain ny
Na taqleed kufr-o-shirq ki ki kbhi Hussain ny Katwa k qunbah o sir apna nana k deen ko bachaya Hussain ny
Ab qayamat tk na kr sky koi zair is deen ko Kr k apny khoon sy aabyasri aesa gulzar khilaya Hussain ny
Koi kafir na loot sky ga phir na looty ga koi zalim isy Deen ke khatir jasy lootwai hain reedain humshery Hussain ny
Darbar-e- Yazeed main khary ho kr nangy sir kr dali haq ki baat Phir na btaya kafir-o-momin mai farq aesa jesa btaya darbar-e-Yazeed me humshirey Hussain ny
Phir na bni koi turbut kisi ki zindan mai aesy Jesi bnwai turbut zindan mai dukhtar-e-Hussain ny
Khangal k dekh lia hum ny tareekh ko Noor-e-akhter Na dy ska koi qurbani aesi jesi nanhy Asghar ki qurbani di Hussain ny