Kashmir Issue Poetry – Kashmir Main Zulmat Kda

Kashmir Issue Needs Attention

Kashmir main zulmat kda

Suno aye zalimo tum zulm ko q bra btaty ho

Ly k kashmirion ka lahu but kado mai diay jlaty ho

Insaniat ka ye kon sa dastoor hai aql tum sy koson door hai

Subha bn k insaniat ky thekydar sham ko kashmirion ka lahu bhaty ho

Utho aye musalmano thori sharam karo tumhare gairat kahan soi hai

Ghair Muslim kr rhy hain kashmirion ka qatl-e-amm tum kis trha muslim khud ko btaty ho

Suno aye zalimo sitamgaro ik din ho jao gy nabood tum

Ubhrain gy falaq ka sitara bn k ak din tum jitna in kashmirion ko dbaty h

kashmir Main Zulmat kda

Sad Poetry For Lover-Smandar Mai Doob K Chalay

Sad Poetry For Lover

Smandr Mai Doob K Chalay

Sainkron khawab khwahishon k

Ankhon ky smandr main bha kr chaly

Arzu chalny ke the jin k sath

Rooh bojhal man bhari ankhein trbtar

Noor Akhter hum to har din is smandar main doobty chal

Smandar mai doob k chalay

 

Kashmir ki dukhi maa ki faryaad

Kashmir Sad Poetry

Stand for Kashmir
Pray for Kashmir

Subha Nikla tha laal mera ik kaam say

kuch pta nahin iska mujhay sar e shaam say

Jald lot ata tha wo dehan say

ILAHI kr yun hifazat iski sadqa nabi (SAW) ki shaan say 

Abhi itna hi soch rhi thi apnay khayal say 

Jhat Dasktak ki aawaz i mery mkaan say

Aawaz denay wali ney kha bri shaan say

Bibi aaya hay ik gulaab jung k maidan say

Haye ye Burhaan hay mera zra dehaan say

Bhikar na jaen ptiyan gulaab ki abhi khili hain bri shaan say

Tum cheeno gay Burhaan Kis Kis maa say

Hr ghar say Burhaan nikle ga bri aan baan say

Tum chla lo sb teer apni kmaan say

Kehlaen gay shaheed jo chlay bhi jaen gay jaan say

Sitamgar jana jaun ga main shaheed k naam say

Yad kia jae ga tu fani fajir k naam say

Krti hay Noor Akhter Haq Zee Shaan say

Mola karam kr k dhuwaan uth rha hay hr mkaan say

Dunya kay thaikay dar chup hain Is Qatl e aam say

Ya Allah churwa day Jaan Kashmirion ki is kaafir mozi shaitan say 

REBEL POLITIK Kashmir is bleeding
REBEL POLITIK

Kashmir is bleeding

Bewfa say Muhabbat Shayari – But Prasti

Reh gae hm Tanha Tanha be aas
yeh muqadar hay kiya shiqwa kren Tum say

But Prasti haram hay Noor Akhter
Yaqeen huwa ik but k pujari bnay jab say

bewfa say muhabbat shayari

Kashmir Bane Ga PAKISTAN

KASHMIR Bane Ga PAKISTAN

Ae Kashmiriyo na hona kabhi dilgeer

Koi na Cheen sake ga tum sa tumhara Kashmir

Qadar kaya jane ga Moodi moozi bater

Lagao zarb anhi hathon say ho jae khak ka dher

Kashmir ha tumhari jageer rahe ga tumhare jageer

Mazhab kay nam p khoon kharaba ye kahan ka daleer

Kar kay shaheed aurtay or bachy ban raha h sher

Keh rahe ha Noor-e-Akhtar Kashmir ha Kashmiriyon key jageer

Kashmir Bane GA PAKISTAN
Kashmir