Jinhain mein dhoondta tha aasmanon mein zameenon mein

Jinhain mein dhoondta tha aasmaano mein zameenoon mein
Woh nikle mere zulmat khana-e-dil ke makinon mein

Mahine wasl ke ghadiyon ki soorat udte jaate hain
Magar ghadiyan judaai ki guzarti hain mahino mein

Kabhi apna bhi nazara kiya hai tune ae Majnun
Ke Layla ki tarah tu khud bhi hai mahmal-nashino mein

Mujhe rokey ga to ae naakhuda kya gharg hone se
Ke jin ko doobna ho, doob jaate hain safeenon mein

Haqeeqat apni aankhon par numayaan jab hui apni
Makaan nikla hamare khana-e-dil ke makinon mein

Jala sakti hai shama kashta ko mauj-e-nafas unki
Ilahi! Kya chhupa hota hai ahl-e-dil ke seeno mein

 

Pareshan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaye

Pareshan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaye
Jo mushkil ab hai ya Rab phir wohi mushkil na ban jaye

 

Na kar dein mujh ko majboor nawa firdous mein hoorain
Mera soz daroon phir garmi mehfil na ban jaye

Banaya ishq ne darya-e-na-pedda-karan mujhe
Yeh meri khud nigahdaari mera saahil na ban jaye

Kahin is aalam-e-be-rang o boo mein bhi talab meri
Wohi afsana-e-dumbala-e-mahmal na ban jaye

Urooj-e-aadam-e-khaaki se anjum sahme jaate hain
Ke yeh toota hua taara maah-e-kaamil na ban jaye

 

 

 

 

La phir ek baar wohi baadha o jaam ae saqi

La phir ek baar wohi baadha o jaam ae saqi
Haath aa jaye mujhe mera maqam ae saqi

Teen sau saal se hain Hind ke mei khane band
Ab munaasib hai tera faiz ho aam ae saqi

Meri mainay-e-ghazal mein thi zara si baqi
Sheikh kehta hai ke hai yeh bhi haraam ae saqi

Sheer mardon se hua besha-e-tahqiq tehi
Rah gaye soofi o mulla ke ghulam ae saqi

Ishq ki tegh-e-jigardaar uda li kis ne
Ilm ke haath mein khaali hai niyam ae saqi

Seena roshan ho to hai soz-e-sukhan ayn-e-hayat
Ho na roshan to sukhan marg-e-dawam ae saqi

l

Tu meri raat ko mehtab se mehroom na rakh
Tere peemane mein hai maah tamaam ae saqi

 

Wo harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon

Wo harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon
Khuda mujhe nafas-e-Jibreel de to kahoon

Sitara kya meri taqdeer ki khabar dega
Woh khud farakhi aflak mein hai khwar o zaboon

Hayat kya hai khayal o nazar ki majzoobi
Khudi ki mout hai andesha-e-goonan goon

Ajab maza hai mujhe lazat-e-khudi de kar
Woh chahtay hain ke main apne aap mein na rahoon

Sabaq mila hai yeh Me’raj-e-Mustafa se mujhe
Ke alam-e-bashariyat ki zad mein hai gardoo

Zameer-e-paak o nigah buland o masti-e-shauq
Na maal o daulat-e-Qaroon, na fikr-e-Aflatun

 

Yeh kainaat abhi na-tamam hai shayad
Ke aa rahi hai damadam sada-e-Kun Fayakoon

Ilaaj aatish-e-Rumi ke soz mein hai tera
Teri khirad pe hai ghalib Farangiyon ka fasoon

Ussi ke faiz se meri nigah hai roshan
Ussi ke faiz se mere saboo mein hai Jaihoon

 

Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir

Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir
Karte hain khitaab aakhir, uthte hain hijab aakhir

 

Ahwaal-e-muhabbat mein kuch farq nahi aisa
Soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir

Main tujh ko bataata hoon taqdeer-e-ummam kya hai
Shamsheer-o-sanaan awwal, taous-o-rabaab aakhir

May khanay-e-Yoarp ke dastoor nirale hain
Laate hain suroor awwal, dete hain sharaab aakhir

Kya dabdaba-e-Nadir, kya shaukat-e-Taimuri
Ho jaate hain sab daftar gharaq-e-may-e-naab aakhir

Khalwat ki ghari guzri, jalwat ki ghari aayi
Chhatne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aakhir

Tha zabt bohot mushkil is sil-e-maani ka
Keh daala qalandar ne asraar-e-kitaab aakhir

 

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hain

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hain
Yeh aashiq kaun si basti ke yarab rehne wale hain

Ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hoon
Jo thay chhalon mein kaantay, nok-e-sozan se nikaalay hain

Phula phoola rahay yarab chaman meri umeedon ka
Jigar ka khoon de de kar yeh bootey maine paalay hain

Na poochho mujh se lazzat khanman barbaad rehne ki
Nasheman sekron maine bana kar phoonk daalay hain

 

Nahi beganagi achi rafeeq-e-raah-e-manzil se
Thahar ja ae sharar, hum bhi to aakhir mitne wale hain

Umeed-e-hoor ne sab kuch sikha rakha hai waiz ko
Yeh hazrat dekhne mein seedhay saadey, bhoolay bhaale hain

ا

Mere ashaar ae Iqbal kyun pyaare na hoon mujh ko
Mere toote hue dil ke yeh dard-angez naale hain

 

 

Tere ishq ki inteha chahata hoon

Tere ishq ki inteha chahata hoon
Meri saadgi dekh kya chahata hoon

Sitam ho ke ho waada-e-be hijabi
Koi baat sabr aazma chahata hoon

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Ke main aap ka saamna chahata hoon

Zara sa to dil hoon magar shaukh itna
Wohi lan tarani suna chahata hoon

Koi dam ka mehman hoon ae ahel-e-majlis
Chiragh-e-seher hoon bujha chahata hoon

Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bara be adab hoon saza chahata hoon

Sitaron se aagay jahan aur bhi hain

Sitaron se aagay jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain

Tahi zindagi se nahi ye fizaen
Yahan sekron karwan aur bhi hain

Qanaat na kar alam rang o boo par
Chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain

Agar kho gaya ek nishman to kya gham
Maqamat aah o faghan aur bhi hain

Tu shaheen hai parwaz hai kaam tera
Tere samne aasman aur bhi hain

Isi roz o shab mein uljhar na reh ja
Ke tere zaman o makaan aur bhi hain

Gaye din ke tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere raazdan aur bhi hain

Dil soz se khaali hai, nigah paak nahi hai

Dil soz se khaali hai, nigah paak nahi hai
Phir is mein ajab kya ke tu be-baak nahi hai

 

Hai zouq-e-tajalli bhi isi khaak mein pinhaan
Ghaafil tu nira saahib-e-idraak nahi hai

Woh aankh ke hai surma-e-afrang se roshan
Purkaar o sukhan saaz hai, namnak nahi hai

Kab tak rahe mahkoomi-e-anjum mein meri khaak
Ya main nahi, ya gardish-e-aflaak nahi hai

 

Bijli hoon, my gaze is on mountains and deserts
For me, twigs and straw are not befitting

 

Aalam hai faqat momin-e-janbaaz ki miraas
Momin nahi jo saahib-e-Lolak nahi hai