Apni jolān-gāh zīr āsmān samjhā thā main

Apni jolahn-gah zīr āsmān samjhā thā main
Āb o gul ke khel ko apnā jahān samjhā thā main.

Be hijābī se terī, toṭā nigāhon ka talism
Ek radā’e neelgūn ko āsmān samjhā thā main.

Kārwān thak kar fazā ke pech o kham mein reh gaya
Mehr o māh o mushṭarī ko ham anān samjhā thā main.

Ishq ki ek just ne tay kar diya qissa tamam
Is zameen o āsmān ko bekraān samjhā thā main.

Thi kisi darmāndah rahro ki sadae dardnāak
Jis ko āwāz-e Rahil kārwān samjhā thā main.

Apni jolān-gāh zīr āsmān samjhā thā main
Āb o gul ke khel ko apnā jahān samjhā thā main.

 

 

Leave a Reply