Abhi kuch aur karishmey ghazal ke dekhte hain

Abhi kuch aur karishmey ghazal ke dekhte hain
Faraaz, ab zara lehja badal ke dekhte hain

Judaiyan to muqaddar hain, phir bhi jaan-e-safar
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain

Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho
So apne aap se aage nikal ke dekhte hain

Tu samne hai to phir kyun yaqeen nahi aata
Yeh baar baar jo aankhon ko mil ke dekhte hain

Yeh kaun log hain mojood teri mehfil mein
Jo laalachon se tujhe mujh ko jal ke dekhte hain

Yeh qurb kya hai ke yak jaan hue na door rahe
Hazaar ek hi qaalib mein dhal ke dekhte hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
So ab ke dono hi chaalain badal ke dekhte hain

Yeh kaun hai sar-e-sahil ke doobne wale
Samundaron ki tehon se uchhal ke dekhte hain

Abhi talak to na kandan hue na raakh hue
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain

Bohat dino se nahi hai kuch is ki khair khabar
Chalo Faraaz, ko ae yaar chal ke dekhte hain

 

Leave a Reply