Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir

Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir
Karte hain khitaab aakhir, uthte hain hijab aakhir

 

Ahwaal-e-muhabbat mein kuch farq nahi aisa
Soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir

Main tujh ko bataata hoon taqdeer-e-ummam kya hai
Shamsheer-o-sanaan awwal, taous-o-rabaab aakhir

May khanay-e-Yoarp ke dastoor nirale hain
Laate hain suroor awwal, dete hain sharaab aakhir

Kya dabdaba-e-Nadir, kya shaukat-e-Taimuri
Ho jaate hain sab daftar gharaq-e-may-e-naab aakhir

Khalwat ki ghari guzri, jalwat ki ghari aayi
Chhatne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aakhir

Tha zabt bohot mushkil is sil-e-maani ka
Keh daala qalandar ne asraar-e-kitaab aakhir

 

Leave a Reply