BestUrduShayari

Ajab wa’iz ki deendari hai ya Rab

Ajab wa’iz ki deendari hai ya Rab
Adawat hai usay saaray jahan se

Koi ab tak na yeh samjha ke insaan
Kahan jaata hai, aata hai kahan se

Wahin se raat ko zulmat mili hai
Chamak taare ne paayi hai jahan se

Hum apni dard mandi ka fasana
Suna karte hain apne raazdaan se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *