dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai

dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai

ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai
maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ
kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai

jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai

ye parī-chehra log kaise haiñ
ġhamza o ishva o adā kyā hai

shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hai
nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai

sabza o gul kahāñ se aa.e haiñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai

ham ko un se vafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte vafā kyā hai

haañ bhalā kar tirā bhalā hogā
aur darvesh kī sadā kyā hai

jaan tum par nisār kartā huuñ
maiñ nahīñ jāntā duā kyā hai

maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ ‘ġhālib’
muft haath aa.e to burā kyā hai

Teh daam bhi ghazal aashna rahe, tairan-e-chaman to kya,

Teh daam bhi ghazal aashna rahe, tairan-e-chaman to kya,
Jo faghā’n dilon mein tarap rahi thi, nawā-e-zair-labi rahi.

Tera jalwa kuch bhi tasalli dil nasboor na kar saka,
Woh giriya sahri raha, wohi aah neem shabi rahi.


Na Khuda raha, na sanam rahe, na raqeeb deir-e-haram rahe,
Na rahi kahin Asadullahī, na kahin Abulahi rahe.

Mera saz agarche sitam raseedah zakhma hāye Ajam raha,
Woh shaheed zauk-e-wafa hoon main, ke nawā meri Arabi rahi.

Mere kehstaan! Tujhe chhod ke jaaoon kahan

Mere kehstaan! Tujhe chhod ke jaaoon kahan
Teri chataanon mein hai mere ab-o-jad ki khaak

Roz azal se hai tu manzil shaheen o chiragh,
Laale o gul se tehi, naghma bulbul se pak.

Tere kham o pech mein meri behisht bareen,
Khaak teri anbarin, aab tera taab naak.

Ae mere fiqr gheer! Faisla tera hai kya,
Khalat Angrez ya pirahan chaak chaak!

“Darya mein moti, ae mauj be baak

Darya mein moti, ae mauj be baak
Sahil ki sogat! Kharokhas o khaak”

“Mere sharar mein bijli ke johar
Lekin neestaan tera hai nam naak”

“Tera zamana, tasir teri
Naadaan! Nahin yeh tasir aflaak

“Aisa junoon bhi dekha hai maine
Jis ne siye hain taqdeer ke chaak”

“Ahl-e-nazar hain Europe se naumeed
In umaton ke baatin nahin paak”

Ilahi aqal khajista pay ko zara si deewangi sikha de,

Ilahi aqal khajista pay ko zara si deewangi sikha de,
Use hai soda-e-bakhia kaari, mujhe sar-e-perahan nahi hai.

Mila mohabbat ka soz mujh ko to bole subh-e-azal farishte,
Misaal-e-shama mazar hai tu, teri koi anjuman nahi hai.

Yahan kahan hum-nafas mayassar, yeh des na-asha’na hai aye dil!
Woh cheez to mangta hai mujh se ke zair-e-charkh-e-kohan nahi hai.

 

Nirala saare jahan se us ko Arab ke mi’maar ne banaya,
Bana hamare hisaar-e-millat ki ittehad-e-watan nahi hai.

 

Kahan ka aana, kahan ka jana, fareb hai imtiaz-e-uqba,
Namood har shay mein hai hamari, kahin hamara watan nahi hai.

Mudeer ‘Makhzan’ se koi Iqbal ja ke mera paigham keh de,
Jo kaam kuch kar rahi hain qaumein, unhein mazaq-e-sukhan nahi hai

Dhoond raha hai Farang aish-e-jahaan ka dawaam,

Dhoond raha hai Farang aish-e-jahaan ka dawaam,
Waaye tamannaa-e-khaam, waaye tamannaa-e-khaam!

Peer-e-Haram ne kaha sun ke meri roeydaad,
Pakhta hai teri fugh’an, ab na usay dil mein thaam

Aah ke khoya gaya tujh se faqeeri ka raaz,
Warna hai maal-e-faqeer saltanat-e-Rum-o-Shaam.

 

 

Teri mataa-e-hayat, ilm-o-hunar ka suroor

Teri mataa-e-hayat, ilm-o-hunar ka suroor
Meri mataa-e-hayat aik dil-e-nasuboor!

Mo’jza ehl-e-fikr, falsafa-e-pech-pech
Mo’jza ehl-e-zikr, Moosa o Firaun o Toor!

Maslehatan keh diya main ne Musalman tujhe
Tere nafs mein nahin, garmi-e-yawm-an-nushoor!

Ek zamane se hai chaak garebaan mera
Tu hai abhi hosh mein, mere junoon ka qasoor!

Faiz-e-nazar ke liye zabt-e-sukhan chahiye
Harf-e-pareshaan na keh ehl-e-nazar ke huzoor!

Khawaar jahan mein kabhi ho nahin sakti woh qaum
Ishq ho jiska jasoorr, faqr ho jiska ghayoor!

Garm fighaan hai jaras uth ke gaya qaafila

Garm fighaan hai jaras uth ke gaya qaafila
Waaye woh reh ro ke hai muntazir raahila

Teri tabiyat hai aur tera zamana hai aur
Tere mawafiq nahi khaankahi silsila

Dil ho ghulaam-e-khirad ya ke imam-e-khirad
Saalik-e-rah-e-hoshiyar, sakht hai ye marhala


Us ki khudi hai abhi shaam-o-sehar mein aseer
Gardish-e-dauran ka hai jis ki zubaan par gila

 

Chamak teri ayaan bijli mein, aatish mein, sharare mein

Chamak teri ayaan bijli mein, aatish mein, sharare mein
Jhalak teri huida chaand mein, sooraj mein, taare mein

Bulandi aasmanon mein, zameenon mein teri pasti
Rawani behr mein, iftadgi teri kinare mein

Shariat kyun garebaan geer ho zouq-e-takallum ki
Chhupa jata hoon apne dil ka matlab istaare mein

Jo hai bedaar insaan mein woh gehri neend sota hai
Shajar mein, phool mein, haiwaan mein, pathar mein, sitare mein

Sada-e-lan tarani sun ke, aye Iqbal, main chup hoon
Taqazon ki kahan taqat hai mujh furqat ke maare mein

 

Kahoon kya arzuye be-dili mujh ko kahan tak hai

Kahoon kya arzuye be-dili mujh ko kahan tak hai
Mere bazaar ki raunaq hi soudaaye ziyaan tak hai.

Woh may kash hoon farogh may se khud gulzar ban jaaon
Hawaaye gul firaq saqi naamaharbaan tak hai.

 

Chaman afroz hai sayyad meri khushnawaai tak
Rahi bijli ki be-taabi, so mere aashiyaan tak hai.

Zamane bhar mein ruswa hoon magar ae waaye nadani!
Samajhta hoon ke mera ishq mere raazdaan tak hai.