Mir sipah-e-na-saza lashkariyaan shikasta saf

Mir sipah-e-na-saza lashkariyaan shikasta saf
Aah wo teer-e-neem kash jis ka na ho koi hadaf

Tere muheet mein kahin gauhar-e-zindagi nahin
Dhoond chuka main mauj mauj, dekh chuka sadaf sadaf

Ishq bataan se haath utha apni khudi mein doob ja
Naqsh o nigaar deir mein khoon-e-jigar na kar talaf

Khol ke kya bayan karun sar maqam marg o ishq
Ishq hai marg basharaf, marg hayat be sharaf

Suhbat-e-peer-e-Room se mujh pe hua yeh raaz faash
Laakh hakeem sarbajeeb ek Kaleem sar bakaf

Misal-e-Kaleem ho agar ma’rikah azma koi
Ab bhi darakht-e-Toor se aati hai bang “la takhaf”

Leave a Reply