Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shehar mein kuch din thehr ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se phool jhartay hain
Yeh baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain
Suna hai raat usay chaand takta rehta hai
Sitaare baam-e-falak se utar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay titliyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnu thehr ke dekhte hain
Suna hai hashr hain uski ghazaal si aankhein
Suna hai usko hiran dasht bhar ke dekhte hain
Suna hai raat se barh kar hain kaaklain uski
Suna hai shaam ko saaye guzr ke dekhte hain
Suna hai uski siyah chashmagi qayamat hai
So usko surma farosh aah bhar ke dekhte hain
Suna hai uske labon se gulaab jalte hain
So hum bahaar pe ilzaam dher ke dekhte hain
Suna hai aaina tumsaal hai jabeen uski
Jo saada dil hain usay ban sanwar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamaail hain uski gardan mein
Mizaaj aur hi laal o gehhar ke dekhte hain
Suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkaan mein
Palang zawiye uski kamar ke dekhte hain
Suna hai uske badan ki taraash aisi hai
Ke phool apni qabayen katar ke dekhte hain
Makin idhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain
Ruke to gardishain uska tawaaf karti hain
Chalay to usko zamane thehr ke dekhte hain